Resonance

Friday, October 06, 2006

Lamha


Ek lamha jo jiya jaane kahan kho gaya
Kiya aankhon ko band to wahin so gaya

Khwabon ki duniya mein waqt se lamhe ne poocha
Main gar tera hissa na hota.. to kya hota

Waqt ne muskurake jawaab diya..

Hazaron sitaron se jo ek dua baar baar mangi thi
Mann hi mann jo ek kahaani likhi thi

Tu meri un duaon ka sunhera jawaab hai
Tu meri us kahaani ka khubsoorat anjaam hai

Tere wujood se hi mera wujood banta hai
Tu meri parchayi apne saaye mein liye chalta hai

Teri ummeed mein meri ahsayein dikhti hain
Teri awaaz mein meri khamoshi jhalakti hai

Teri soch mein mera gehra vishwas hai
Tere sapno mein mera har armaan hai

Tu hee mera sabse haseen ehsaas hai..

1 Comments:

Post a Comment

<< Home