Resonance

Monday, August 21, 2006

Udaas Na Ho

An excerpt from Sahir Ludhianvi’s “Udaas Na Ho” Extremely inspiring..


Mere nadeem mere hamsafar udaas na ho
Kathin sahi teri manzil magar udaas na ho

Har ek talaash ke raaste mein mushkilein hain magar
Har ek talaash muradon ke rang laati hai
Hazaron chaand sitaron ka khoon hota hai
Tab ek subah fizaon pe muskurati hai

Mere nadeem mere hamsafar udaas na ho
Kathin sahi teri manzil magar udaas na ho

Jo apne khoon ko paani bana nahi sakte
Woh zindagi mein naya rang la nahi sakte
Jo raaste ke andheron se haar jaate hain
Woh manzilon ke ujalon ko paa nahi sakte

Mere nadeem mere hamsafar udaas na ho
Kathin sahi teri manzil magar udaas na

1 Comments:

  • Have you read Amir Khusrau?


    Khusrau raen suhaag ki, jaagi pi ke sung,
    Tun mero mun pi-u ko, dovu bhaye ek rung.

    Bae gaye baalam, bae gaye nadia kinaar,
    Aapay paar utar gaye, hum to rahay ehi paar.

    Khusrau aesee peet kar, jaisay hindu joye,
    Poot karaye kaarnay, jal jal koyla hoye

    Khusrau darya prem ka, ulti wa ki dhaar,
    Jo utra so doob gaya, jo dooba so paar

    Bhai ray malla jo hum kon paar utaar,
    Haath ka devongi mandra, gal ka devun haar

    Sej wo sooni dekh ke rovun main din raen,
    Piya piya main karat hoon pehron, pal bhar sukh na chaen

    Kheer pakayi jatan say, aur charkha diya jalaa,
    Aya kutta khagaya, tu baithi dhool bajaa

    Apni chhab banaikay, jo main pi kay paas gayi
    Chhab dekhi jab piyu ki so apni bhool gayi.

    Khusrau baazi prem ki main khelun pi ke sung,
    Jeet gayi to piya moray, haari, pi kay sung.

    Gori sovay sej par, mukh par daaray kes,
    Chal Khusrau ghar aapnay, saanjh bhayee chahu des.

    By Blogger Niral Parekh, at 11:51 AM  

Post a Comment

<< Home