Tum..
Tumhara khayal mere kai dua’on ka khubsoorat anjaam
Tumhari muskurahat andhere ko raushan karti akeli shamaa
Tumhare saath bitaya hua har ek lamha jaise ek kahaani
Tumhari udaasi jaise pahadon ke beech dhalta suraj
Tumhara sukoon jaise shaam ke waqt behti thandi hawa
Tumhari baatein jaise kagaz ke panne par bikhre phool
Tumhara saath jaise kati patang aur uske saath udne wali dor
Tumhari yaadein kabhi na khatam hona wala aasmaan
Tumhari tanhayi jaise diye ki aakhri angdai
Tum.. meri bandagi.. meri khudai..

1 Comments:
Kyon ji...aaj kal yeh kis ke liye likha ja raha hai :-)
By Anonymous, at 10:51 AM
Post a Comment
<< Home