Ittefaaq
Raat ko jo seher mein dhalta dekha maine
To surkhi tumhari nazar aayi
Shaam ko jo aaj pighalta dekha maine
To madhoshi tumhari nazar aayi
Andhere mein jo aankhein bandh ki maine
To tanhai tumhari nazar aayi
Shamaa ko jo jalta dekha maine
To raushni tumhari nazar aayi
Khubsoorti ko jo aur tarasha maine
To aara’ish tunmhari nazar aayi
Dua mein jo nazrein jhukai maine
To bandagi tumhari nazar aayi
Awaargi ki deewangi ko jo apnaya maine
To manzil tumhari nazar aayi
Dard se jo panha maangi maine
To aazmaish tumhari nazar aayi
Aaine mein jo khud ko talasha maine
To parchayi tumhari nazar aayi
Hoosne ittefaaq bhi jo kisi aur ko dekha maine
To tasveer sirf tumhari.. sirf tumhari nazar aayi
0 Comments:
Post a Comment
<< Home