Resonance

Monday, July 10, 2006

Zindagi.. Uske hazaron naam..


Zamaane beet gaye, talaashte hue zindagi
Muud ke dekha maine to aaine mein muskurati mili..

Nigahon se maine jo naam uska poocha
To has ke mujhe mera hi naam bata gayi

Woh jawab mere liye ek paheli si ban gayi
Ek aur paheli ka samna shayad kar na sakoon

Darr ke usi andhere ke taraf haath badhaya maine
Jiski tanhai mein mujhe sukoon milta hai

Yeh karte dekh mujhe, raushni se darte dekh mujhe
Haath thaam ke mera mujhse boli

Jo kal paheli thi who hamesha rehti nahi
Waqt ke saaye mein apna anjam dhund leti hai

Apne aap ko itna bhi kya sambhaalna
Ki sambhalna tunhari fitrat hee ban jaye

Mera chehra ek kitaab ki tarah padh ke boli..
Dard ki shiddat bohot kuch sikha deti hai

Tamannaon ki gehrai mein jo naam samaa jaaye
Zindagi ko kuch din usi naam se pukar lo..

Waqt ke saath tamanna, aarzoo aur naam
Sabh mukhtalif raaste dhund lete hain..

Un raaston pe chalte chalte hum zindagi ko..
Kai naamon se pukarna seekh lete hain..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home