Resonance

Thursday, July 13, 2006

Hazaron Khwahishein Aisi..

Hazaron Khwahishein Aisi..

Ki dua mein bhi jo uthaun haath
To lavz pe ho mere, bas tera hee naam

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki Chaand ki Chandani ko
Hatheli mein bhar laun main tere liye

Hazaron Khwahishein Aisi..

Ki andhere se jagoon main jab
To raushan ho tera chehra mere samne

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki phoolon ki chaadar
Bicha dun tere kadmo ke neeche main

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki dhoop mein tere yaadon ke aanchal
Se dhak lun khud ko

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki sawan ki pehli baarish
Ho teri khushboo mein bheegi hui

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki Sagar ki lehron ki de dun
Main rawani tujhe

Hazaron Khahishein Aisi

Ki phoolon ki os jaisa mehka ho
Tera har aansoon

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki jabh sambhal na sakun khud ko
To bandagi teri aake sambhaale mujhe

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki har khwahish tujhse shuru ho
Aur tujh hi pe ruk jaaye

Hazaron Khwahishein Aisi

Ki tujhe pane ki khwahishein
Badhti jaayein mujhme.. har pal..

1 Comments:

Post a Comment

<< Home