Resonance

Thursday, July 20, 2006

Ehsaas

Kahin khayalon mein dabi hui woh bhuli si dastaan
Shaam ki madhoshi diye si bhujti, pighalti
Meri shuvaon mein, sanson mein mehekta hua

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho..

Os ke boondon jaisa nazuk sa pal
Baarish mein bheegta, akela..
Us pal ki behekti chaandani mein

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho

Dhoop ki tapti raushni
Usme bante hazaron saaye
Us saaye ke gehre andhere mein

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho

Sard hawaon ka mujhe choo kar guzarna
Un hawaon mein geeli mitti ki khushboo
Us khushboo ki shiddat mein

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho

Nazrein jhukae khwabon ki panha mein aana

Khwabon mein dil ki khwahishon ko jeena
Us khwab ki behoshi, madhoshi mein

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho

Tooti imaarat sa lamho ka bikhar jaana
Un lamhon ko samet aanchal mein chhupana
Phir na bikhar jaayein, is darr mein bhi

Tha kahin ek ehsaas ki tum yahin kahin ho


Har aahat mein mera mudd ke peeche dekhna
Darwaza khulne pe bhi tumhara wahan na hona
Us mayoosi mein, tanhai mein

Tha kahin ek ehsaas, ki shaayad tum nahi ho..

4 Comments:

  • What is "shuvaon" - in the first paragraph?

    By Anonymous Anonymous, at 8:41 AM  

  • This comment has been removed by a blog administrator.

    By Anonymous Anonymous, at 5:58 PM  

  • Interesting site. Useful information. Bookmarked.
    »

    By Anonymous Anonymous, at 5:16 PM  

  • Your are Nice. And so is your site! Maybe you need some more pictures. Will return in the near future.
    »

    By Anonymous Anonymous, at 1:44 AM  

Post a Comment

<< Home