Duur us chaand..
Duur us chaand ko dhalte maine dekha
To ek yaad sataane aa gayi
Andhere ki vaadi mein raushni ki parchayi
Mujhe mere sapnon se jagaa gayi
Sapne ke taraf haath badhati hun
To woh aankhon se aur bhi ojhal ho jaata hai
Is jaagti hui duniya ki uljhane
Aur bhi badha jaata hai
In uljhano mein,
Paheli si lagne lagi hai zindagi
Paheliyon se darr lagta hai
Is darr ke andhere mein apne wujood ko dhoondna
Aur bhi mushkil lagta hai
Wujood ke ehsaas ke bina kho si gayi hun main
Shayad yeh apne aap se ek ladai hai
Is ladai mein kabhi zindagi haari kabhi main
par har haar na jaane kitne sawaal bahaa gayi hai
In sawalon ki panha mein kahin ek dard bhara lamha hai
Us dard bhare lamhe mein ek ajeeb si tanhai
Tanhai ke us aalam mein chand ko jo dhalte maine dekha
To mujhe kahin se na jaane kahin se..
Ek yaad sataane aa gayi..

3 Comments:
its your happy bday!!!!!!if you write today, you will on your blog for the rest of the year
By Niral Parekh, at 4:55 AM
I love this poem .
When I direct my movie - can I have the copyrights for using this .
I will film the protagonist walking on a very grey cloudy day next to a harbor -wearing a grey trench-coat and green eyes shimmering ..and we will read this poem in the background ..and at the end of the poem ..she will raech home and just as the last line resonates in the background ..come face to face with the yaaad .
How about that ?!
By Kau, at 12:12 PM
Lol!
After that description of the scenario in which this poem might potentially be filmed, how could I possibly deny you the copyright!
By Ridhima, at 12:26 PM
Post a Comment
<< Home